Header Ads

Aap Ka Electric Bill 70 Se 80 % Kam ho Sakta hai CENTRAL GOVT SCHEME

Aap Ka Electric Bill 70 Se 80 % Kam ho Sakta hai 

Dosto Aaj Mai Apko ek Khuskhabri Batane wala hu Jisse aap ka bijli ka Bill Lagbhag 70 se 80 % Tak Kam ho Sakta hai aur iske liye Apko jyada kuch karna nahi padega.

Hamare Bharat Desh ki Economy bahut hi tej gati wali Economy hai Jahan bahut sare log apne udhog dhandhe karte hain jinki sankhya lakho aur karodo se bhi bahut adhik hai. Sabhi logo ke udhog dhandhe ko chalane ke liye unhe urja ki jarurat hoti hai. udhog dhandho ko chalane ke liye bahut se upkaran lagane hote hain jinme adhik matra me urja ki khapat hoti hai but bharat sarkar ke pas itni utpadan karne ki chamta nahi hai. Aur Log Bijli Ke bill se bahut Jyada pareshan hain. Sarkar bhi prayas me lagi hai ki kaise urja ke utpadan ko badaya jaye but udhog dhandhe bhi lagatar badte hai aur jansankhya bhi bad rahi hai. Isliye sarkar bhi solar energy ko badava de rahi hai. 


Solar Energy Kya hai

Urja ka Mukhya srot hain surya. Solar Energy ko hindi me saur urja kahte hain. ye ek aisi prakriya hai jisme surya ki kirno ko parivartit karke vidhut urja me badla jata hai. Iska use adhiktar badi factory ya bade offices me hota hai but aajkal to chote chote udhog bhi solar ka istemal kar rahe hain kyuki solar panal se bani bijli bahut saste rate me hoti hai aur solar se bachat bhi hoti hai. Solar se hamari bijli ke bill ki samasya ka nidan hota hai.

Solar Energy Ke Fayde

Solar se hame bahut se aneko fayde hain. solar ko use karke hum bahut se chetro me nirman ka karya kar sakte hain. Iske kuch fayde is prakar hain.
  • Solar energy ka istemal karne se bijli ka bill bahut hi kam ho jata hai jisse hamare products ki casting bhi kuch kam ho jati hai. aur hame profit adhik hota hai.
  • Solar se vatavaran me kisi bhi prakar ka koi nuksaan nahi hota hai.
  • Solar ke use se bahut se upkaran daily use me aate jaise khana pakane ke liye upkaran, calculator aur cell ya battery, car me bhi use hota hai aur hawai jahaj me bhi use hota hai. 
  • Solar se na kewal hum apne kharcho ko kam kar sakte hain balki bani hui bijli ko sale karke income bhi kar sakte hain.

Solar Energy Ke Nuksaan

Solar se bahut se fayde hone ke saath saath kuch haniya bhi hai.
  • Solar me sabse badi samasya ye hai ki isme aap raat ko koi bhi karya nahi kar sakte hain.
  • Solar me aap din me bhi agar dhoop nahi hai aur mausam kuch barish jaisa hai tab bhi yeh safal nahi hai.
  • Solar kewal wahi safal ho pata jahan par dhoop ya surya ki roshni rahti hai.
  • Solar Energy banane hetu hume kuch saur upkarano ke alava kuch inverter ya iske sangrah ke liye battery ki jarurat hoti jo battery is solar ko kuch mahanga kar deti hai.
  • Solar upkaran bade hote hai isliye unhe sthapit karne hetyu chetrafal ki bhumi jarurat hoti hai. is bhumi ko kisi aur use me nahi liya ja sakta.

Solar Enegy ke chetra me bahut sari companies apna karobar kar rahi hai jsme kuch Naami (purani) and kuch New companies hain. Mai kuch company ke naam aur unke bare me bataunga agar aap chahe to unke sath judkar ya business partner banker solar ke business ko aage faila sakte hain aur solar se bane product ko sale and service ka karya kar sakte hain. 

Solar ke Business Kar rahi comapnies

  • Tata power Solar
  • Vikram Solar Pvt. Ltd.
  • Loom Solar Pvt. Ltd.
  • Jackson Group
  • Waaree Energies Ltd.
  • Ennvee Photovoltaic Power Pvt. Ltd.
  • Moser Baer Solar Ltd
  • Photon Energy Systems
  • Webel Energy System 
  • Indosolar

Dosto In Branded Company ke Alava bhi CENTRAL GOVERNMENT ne khud se hi is project me hissa liya hai aapko bas ispar login karna hoga aur apne ko registered karna hoga aur baki ka kaam sara Sarkar karegi. Government ki Us Website par Jane ke liye Please Click Here


https://solarrooftop.gov.in/

दोस्तों सबसे अहम् बात की आप लोगो से गुजारिश है की अगर आपको मेरा आर्टिकल थोडा भी अच्छा लगा हो तो कमेंट करके जरुर बताये और हो सके तो मुझे सपोर्ट करने के लिए फॉलो (FOLLOW) करना न भूले और  अपने मित्रो और रिश्तेदारों को शेयर भी कर सकते हैं हो सकता हो उनकी कुछ मदद हो जाये 

                                                                                                

 


कोई टिप्पणी नहीं

Blogger द्वारा संचालित.