Header Ads

Sahaj Jan Suvidha Kendra kya hai Kaise khole

Sahaj Jan Suvidha Kendra

Sahaj ek aisa portal hai jiske madhyam se koi bhi agent apne customer ko bahut sare online sarkari aur gair sarkari suvidhaye uplabdh kara sakta hai. jiske liye sahaj apne agent ko profit ke roop me kuch commision deta hai. Sahaj center ab gaon aur door ke ilako tak pahuch chuke hain.

Sahaj Registration 



Sahaj ka registration lena bahut hi aasan hai poora process online hai bus thoda samay apko apply karne ke baad wait karna hota hai kuch time baad iska approval mil jayega and aap ek sahaj Mitra ban jayenge aur apko sahaj ki taraf se user id and password apke email par send kar diya jayega. 

Sahaj ka Registration 2 category me hota hai

Individual

Self Help Group

Sahaj registration ke liye Requirement

1. Bharat ka Nagrik hona chahiye

2. Age 18 Saal honi chahiye

3. Pancard and Adharcard

4. Bank Account

5. Educational Certificate

6. Photograph

Sahaj ke liye in sabhi document proof ki jarurat hogi. Apko ek shop rent par leni hogi aur ek computer and printer bhi jarurat hogi.

Sahaj Portal me kon si service hain

1. Banking(Money Transfer, Aeps) 

2. Recharge(Mobile and Dth)

3. Railway Reservation

4. Bill Payment

5. Educational Course

6. Pan and ITR 

7. Ration Card

8. Income Certificate

9. Domicile Certificate

10.Caste Certificate 

11.Birth Certificate

12.Fastag

13.Insurance (Life,vechile and Health)

14.Lic Premium

15.Amazon Easy Store

16.Computer Cources

17.Candidate Registration For Jobs

Bahut sari service sahaj portal me milti hai jo aap apne grahak ko pradan karke income kar sakte hain aur apne grahako ki problems ko door bhi kar sakte hain.

Sahaj Jan Seva Kendra lene ke baad aap samuday ke logo ki bahut madad aur unhe seva pradan kar sakte hain. Sahaj Jan Seva Kendra me bahut sari aisi sevaye hain jinhe samuday ke logo ko pradan kiya jata aur unki samasyao ka nidan bhi kiya jata hai.

Thanks to My Visitors


कोई टिप्पणी नहीं

Blogger द्वारा संचालित.