Header Ads

PM Wani Yojna Free wifi in India


Dosto aaj mai aapko ek bahut hi unique idea batane ja raha hu jisse koi bhi sadharan vyakti bhi bahut hi jyda income kar sakta hai. digital india banane hetu sarkar ne free wifi ki yojna poore india me chalu karne ka kadam uthaya hai PM WANI Yojna (Prime Minister wifi Access Network Initiative) yeh scheme shri Narendra modi ke dwara December 2020 me manjuri di ja chuki hai. PM wani yojna ke antargat poore bharat desh me free wifi muhaiya karane ki suvidha pradhan ki jayegi. Jo bhi iis yojna se judna chahta hai wo free ya thode bahut investment ke sath suru kar sakta hai.

sarkar bhi bahut se sthano par router lagayegi and agar aap bhi chahte hai to aap bhi apne ghar par shop par router lagwakar bahut sari income kar sakte hai. isme aapko kisi bhi jagah ko lene ki jarurat nahi hai.



Jo bhi vyakti is yojna se judkar dher sari income karna chahta hai uske liye maily 2 tarike hain.

PDO

In do tariko me pahla tarika hai PDO (Public Data Office) yani ki Maan lijiye ki ek retailer. Jaha par aapko ek router lagana hoga aur apne place ek wifi zone ka praroop dena hoga. Yeh device kahi bhi laga sakte jaise kirana shop, medical store, csc center or cofee shop kahi par bhi ise bahut aasani se lagaya ja sakta hai aur wo place kuch hi time me hotspot ban jayega jaha se wifi seva customer ko sale ki ja sakegi.

PDOA


Pdo ko setup karegi and full support karega PDOA (Public Data Office Aggrigator) mainly PDOA ek franchise hai jo pdo ko setup karne me madad karegi aur unhe batayegi ki kaise customer ko connect karna hai, kaise uska rechage karna hai. PDOA full support karega PDO ka har tarah se.

PM Wani scheme me free apply karne ke liye click kare 

https://pmwani.cdot.in



Thanks to My Visitors




कोई टिप्पणी नहीं

Blogger द्वारा संचालित.