Header Ads

KYC (Know Your Customer) se Aap Kya samajhte hain

KNOW YOUR CUSTOMER

KYC Kya Hai

KYC ka fullform hota hai Know your Customers. Agar aap ka koi khata hai to waha aapko apna KYC detail detail Deni hoti hai. Jisme aap ka Address, Identity,  Pancard, Voter Card, etc. KYC RBI ki guideline ke manak ke base par hi kaam karta hain.

Dosto hamare desh me notebandi ke baad se digital payment ki starting ho chuki hai aur bahut se app hain jinki help se sabhi customer online payment ki suvidha ka labh le sakte hain but aapko kisi bhi app se payment Karne ke liye KYC bahut important Kar diya gaya hai.

Jitne bhi financial App aur Institution hain uske liye to KYC detail bahut hi important Kar diya hai.

PAYTM

PAZAPP

PHONPE

ROZORPAY

GOOGLE PAY

Inke alawa bhi bahut sare app hain jise aap use Kar sakte hain aur kahin bhi paise send Kar sakte hain.

KYC Se Kya Fayde hote hain

Dosto aapke man me jarur ye sawal honge ki KYC ka fayda Kya hai. Mai aapko batata hu ki KYC Se kis tarah ka fayda hota hai. Jab bank me koi account open hota hai to usme address proof and identity proof lagayi jati hai but hamesha address proof change hote rahte hai is Karan KYC updation jaruri ho jata hai. Jisse ki Jo bhi information bank ke paas ho woh ekdam accurate aur sahi ho. RBI ne account hamesha update rakhne hetu KYC ko mandatory Kar diya hai.Kyc ke update hone se fraud transaction ki gunjaish Kam ho jati hai.

Dosto Mujhe aasha hai ki aap KYC ke baare me samajh gaye honge. Isliye please update KYC Detail in your Bank. 

Aajkal to Sabhi sarkari scheme me bhi bina KYC koi bhi funding Goverment dwara nahi di rahi hi, jiska kyc biomatric machine se nahi ho raha uska fund rok diya jata hai. Isliye KYC ko sabhi Yojnao me Bahut hi important kar diya ja chuka hai.

Agar aap bhi apne kisi fund ko rokne se bachana chahte hain to please Jan Seva kendra para jaye aur Wahan se Biomatric ke jariye apna kyc update karwaye.

Aaj ke liye itna hi. Milte hain Agle Article me.

Jai Hind Jai Bharat


Thanks to My Readers



कोई टिप्पणी नहीं

Blogger द्वारा संचालित.