Header Ads

Business Jinme ho sakti bahut Growth


Business Jinme ho sakti bahut Growth

Dosto Aaj ka sahari jeevan bahut hi fast ho chuka hai koi bhi chij saman Market me bikne wali sabhi chij milawat se bhari hui hai aadmi Kya khaye Kya na khaye kuch samajh me nahi aata. Milawat ke Karan hi logo me aneko swasth samasyain dekhne ko mil rahi hai. Heart attack and cancer jaisi bimari pahle ke time me kabhi bhi nahi sunai deti thee.

Agar koi in business ko poori imandari ke sath karta hai to safalta milegi hi milegi. aajkal log qwality se samjhauta nahi karna chahte. Kuch log to pure chij ke liye jyada kimat chukane ke liye taiyar rahte. Lekin unke paas koi bhi option na hone ke Karan unhe pure product nahi mil pata.


1. Sarso ke Oil ka business

Dosto sarso ka oil bhi market me aajkal bahut bekar quality me bik Raha hai usme to sarso ke alawa pata nahi Kya Kya milaya jata aur color and palm oil bhi milate jisse koi pahchan hi nahi sakta.


Isliye agar shudh pili sarso ko saaf suthra karke pisaya jata aur filter Kiya jata to yah tail sarso ka pure tail hoga. Aise tail ki market me hamesha demand bani rahegi balki badti hi chali jayegi. Iss oil ko aap open market me sale ke liye le ja sakte. Aise pure oil ki bahut jyada sale bhi hogi aur iss business ki din par din lagatar growth hoti jayegi.


2. Besan ka Business

Purane samay me log chane ki daal ko saaf karke piste the aur uttam besan taiyar ho jata tha lekin aaj ke samay me market me Milne Wala besan bilkul bhi uttam nahi hota isme color aur  Anya anaj bhi milaya jata hai  jisse swasth ko bahut nuksaan hota hai. Isliye usko use Karne se Pahle jarur dhyan Dena chahiye.


Agar hum aaj bhi purane tarike se besan ki taiyar kare use saaf kare aur tab machine me pees Kar besan taiyar kare aur apne brand se ya aise hi apni shop se customer ko bech de to isse bahut jyada profit kamaya ja sakta hai. Agar aapko Mera idea kuch sahi lagta to aap apne area me try jarur kare.


Dosto in dono business me shudhta ka vishesh mahatva hai iske alawa kuch aapko product taiyar Karne ke liye nahi karna. Thoda sa dhyan inki packing par Dena hoga jisse hamara product dekhne me kuch accha lage. bus yah business nikal padega.

Best of luck

Gaurav Singh


Thanks to My Readers

कोई टिप्पणी नहीं

Blogger द्वारा संचालित.