Header Ads

Mukhya Mantri Gramodyog Rojgar Yojna 2022

Mukhya Mantri Gramudhog Rojgar Yojna 2022

Dosto waise to aap logo ne Mukhya Mantri ki is yojna ke bare me jarur suna hoga. but mai aapko is yojna ki poori jaankari dene wala hu. Hamara U.P ek aisa rajya hai jahan bahut se grameen ilake hain aur wahan par aay ke shrot bahut hi kam hain, rojgar ke sadhan bahut hi simit hain, rojgar ki samasya se wahan log bahut jyada pidit hain. Uttar pradesh logo ki isi samsya ko dekhte huwe Mukhya Mantri Gramodhog Rojgar Yojna suru kiya hai. is yojna se sarkar bahut se grameen ilako me rojgar bhi mohaiya karwayegi aur ganv ke shikshit berojgar yuwao ko taknik (technology) ke madhyam se ganv se sahar ki taraf aane ko prerna degi aur wo takneek ki training le ne hetu sahar ki or agrasar honge. Mukhya mantri yojna ke dwara sarkar ganv ke yuwao ko khud ka rojgar bhi suru karvayegi aur, rojgar karne ke liye bank loan ki vyavastha bhi karwayegi. Sarkar ka is yojna ka Lakcha kewal yahi yahi hai ki uttar pradesh ke yuwao ka vikas ho aur wo khushhal aur samridh bane. Hamarey Aditya Nath ji ko is yojna ka poora shreya jata hai.

Mukhya Mantri Gramodhog Rojgar Yojna ke liye Patrta

1. Aavedak ki umra 18 se upar aur 40 ke andar honi chahiye.

2. Aavedak ka uttar pradesh ka niwasi hona chahiye.

3. Uttar pradesh ki kisi bhi sarkari yojna me labhanvit na huwa ho.

4. Yuwak chikshit berojgar hona chahiye.

Agar aap bhi inke patra hain to aapko iska labh avashya milega. 

For More Information Click here CMEGP Portal


Thanks to My Visitors






कोई टिप्पणी नहीं

Blogger द्वारा संचालित.